Pakistan’s operations against terrorists in Afghanistan: 7 hideouts were successfully targeted.

Afghanistan Taliban ki janib se ki jane wali dehshatgardi ke jawab mein Pakistan ne Afghanistan mein mukhtalif maqamat par dehshatgardon ke 7 thikano ko nishana banaya.



Wizarat-e-Ittilaat o Nashriyat ne bataya ke Pakistan mein halia khudkush hamlon mein Afghanistan mein mojood dehshatgard qiyadat aur un ke sahulat kar mulawwis hain. Dehshatgardon ne hal hi mein Islamabad ki imambargah, Bajaur aur Bannu mein karwaiyan ki.

Wizarat-e-Ittilaat o Nashriyat ki janib se jari bayan mein kaha gaya hai ke in hamlon ki zimmedari Afghanistan mein mojood Pakistani Taliban, Fitna al-Khawarij aur is ke ittehadiyon ne qabool ki hai.

Bayan ke mutabiq Pakistan ke paas is baat ke thos shawahid mojood hain ke yeh dehshatgard karwaiyan Afghanistan mein mojood qiyadat ki hidayat par ki gayin.

Wizarat ke mutabiq Pakistan ne mutadid baar Afghan Taliban hukoomat par zor diya ke woh apni sarzameen dehshatgard tanzeemon aur proxy anasir ke istemal se rokne ke liye qabil-e-tasdeeq iqdamat kare, taham Afghan aboori hukoomat is silsile mein moassar karwai karne mein nakam rahi.

Bayan mein mazeed kaha gaya hai ke Pakistan ne apne shehriyon ki hifazat ko yaqini banane ke liye jawabi karwai karte hue intelligence maloomat ki bunyad par dehshatgardon ke 7 camps aur thikano ko nishana banaya.

Wizarat-e-Ittilaat ke mutabiq Pakistan khitte mein aman o istehkam ka khwahaan hai, taham Pakistani awam ki salamti awaleen tarjih hai.

Pakistan ne Afghan aboori hukoomat par zor diya hai ke woh apni zimmedariyan poori kare aur apni sarzameen ko Pakistan ke khilaf dehshatgardi ke liye istemal hone se roke.

Bayan mein aalmi baradari se bhi mutaliba kiya gaya hai ke woh Afghan Taliban hukoomat par zor de ke woh Doha muahide ke tehat apni zimmedariyon par amal kare taake khitte aur duniya mein aman o salamti ko yaqini banaya ja sake.

Comments